vo jin kī lau se hazāroñ charāġh jalte the
charāġh bād-e-fanā ne bujhā.e haiñ kyā kyā
na tāb-e-dīd na be-dekhe chain hī aa.e
hamāre haal pe vo muskurā.e haiñ kyā kyā
razā o sabr o qanā.at tavāzo o taslīm
falak ne ham ko ḳhasā.il sikhā.e haiñ kyā kyā
laraz gayā hai jahāñ dast-e-kātib-e-taqdīr
hamārī ziist meñ lamhāt aa.e haiñ kyā kyā
naqāb uThāo to qissa hī ḳhatm ho jaa.e
tumhāre parda ne fitne uThā.e haiñ kyā kyā
zamāna halkā sā ḳhāka na le sakā jin kā
nuqūsh dast-e-qazā ne miTā.e haiñ kyā kyā
ye panj-shīl ye jamhūriyat ye rāy-e-avām
ye ahl-e-zar ne khilaune banā.e haiñ kyā kyā
balā-e-jāñ huī 'vāsif' kī be-gunāhī bhī
zarā sī baat meñ ilzām aa.e haiñ kyā kyā