nahīñ mālūm kitne ho chuke haiñ imtihāñ ab tak
magar tere vafādāroñ kī himmat hai javāñ ab tak
ye tūfān-e-havādis aur talātum baad o bārāñ ke
mohabbat ke sahāre kashti-e-dil hai ravāñ ab tak
kahāñ chhoḌā hai dil ko kārvān-e-āh-o-nāla ne
ki hai āvāra manzil yūsuf-e-be-kārvāñ ab tak
talāsh-e-bahr meñ qatre ne kitnī Thokareñ khā.īñ
samajh letā jo ḳhud ko ban hī jaatā be-karāñ ab tak
dil-e-bīmār ko hamdam havā-e-sair-e-gul kyā ho
ki hai nā-mo'tadil āb-o-havā-e-gulsitāñ ab tak
azal se gosh-e-dil meñ gūñjte haiñ zamzame tere
magar ai dost maiñ ne tujh ko paayā be-nishāñ ab tak
ayaañ afsurdagi-e-gul se hai anjām gulshan kā
magar ḳhūn-e-dil-e-bulbul hai sarf-e-āshiyāñ ab tak