Wasif Dehlvi

qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
qadam yuuñ be-ḳhatar ho kar na mai-ḳhāne meñ rakh denā
bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrāne meñ rakh denā
sunā hai hazrat-e-vā.iz idhar tashrīf lā.eñge
zarā us kāsa-e-gardūñ ko mai-ḳhāne meñ rakh denā
butoñ ke dil meñ yuuñ shāyad ḳhudā kā ḳhauf paidā ho
ye mere dil ke TukḌe jā ke but-ḳhāne meñ rakh denā
yahāñ ai dil farishtoñ kā bhī zohra aab hotā hai
qadam āsāñ nahīñ ulfat ke vīrāne meñ rakh denā
chalā hai ghar ko dīvāna uḌā kar ḳhaak sahrā kī
ġhubār-e-ḳhātir-e-ahbāb kāshāne meñ rakh denā
ziyārat ko vo dasht-e-najd kā jāñ-bāz aa.egā
zarā dam-bhar ko merī naash vīrāne meñ rakh denā
ba-faiz-e-hazrat-e-nāseh huī taufīq tauba kī
mirā jām-e-shikasta un ke shukrāne meñ rakh denā
munāfī thā ye ai mansūr dastūr-e-amānat ke
kisī kī baat ko yuuñ apne begāne meñ rakh denā
pilā.ī hai jo 'vāsif' ko mai-e-mard-āzmā saaqī
to kuchh shān-e-ḳhudī bhī apne dīvāne meñ rakh denā
Top Urdushayar.com