bayāñ ai ham-nashīñ ġham kī hikāyat aur ho jaatī
zarā ham ḳhastā-hāloñ kī tabī.at aur ho jaatī
nasīhat hazrat-e-vā.iz kī sunte bhī to kyā hotā
yahī hotā ki ham ko un se vahshat aur ho jaatī
bahut achchhā huā aañsū na nikle merī āñkhoñ se
bapā mahfil meñ ik taaza qayāmat aur ho jaatī
taḌap kar dil ne manzil par mujhe chauñkā diyā varna
ḳhudā jaane ki tai kitnī masāfat aur ho jaatī
tumhāre naam se hai bekasoñ kā naam vābasta
bulā lete agar dar par to nisbat aur ho jaatī
bahut saste rahe nīchī nazar se dil liyā tum ne
agar nazreñ bhī mil jātīñ to qīmat aur ho jaatī
sharaf baḳhshā hai tum ne aaj mujh ko ham-kalāmī kā
kahūñ kuchh dil kī baat itnī ijāzat aur ho jaatī
zahe qismat navāzā hai javāb-e-ḳhat se 'vāsif' ko
dikhāte ik jhalak itnī ināyat aur ho jaatī