Wasif Dehlvi

bujhte hue charagh farozan karenge hum

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
bujhte hue charāġh farozāñ kareñge ham
tum aaoge to jashn-e-charāġhāñ kareñge ham
baaqī hai ḳhāk-e-kū-e-mohabbat kī tishnagī
apne lahū ko aur bhī arzāñ kareñge ham
bechārgī ke ho ga.e ye chārāgar shikār
ab ḳhud hī apne dard kā darmāñ kareñge ham
josh-e-junūñ se jāma-e-hastī hai tār-tār
kyūñkar ilāj-e-tañgi-e-dāmāñ kareñge ham
ai chārasāz dil kī lagī kā hai kyā ilaaj
kahne se tere sair-e-gulistāñ kareñge ham
kyā ġham jo hasratoñ ke diye bujh ga.e tamām
dāġhoñ se aaj ghar meñ charāġhāñ kareñge ham
'vāsif' kā intizār hai tham jaao dosto
dam bhar meñ tai hudūd-e-bayābāñ kareñge ham
Top Urdushayar.com