Wasif Dehlvi

nasim-e-subh yun le kar tera paigham aati hai

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
nasīm-e-sub.h yuuñ le kar tirā paiġhām aatī hai
parī jaise koī hāthoñ meñ le kar jaam aatī hai
vo manzar bhī kabhī dekhā hai ahl-e-kārvāñ tum ne
umañD kar jab kisī bichhḌe hue par shaam aatī hai
yahāñ ab nā-tavānī se qadam bhī uTh nahīñ sakte
idhar mahfil se saaqī kī salā-e-ām aatī hai
kisī kā ḳhūn-e-dil khiñch kar Tapak jaatā hai āñkhoñ se
kisī kī aañkh meñ khiñch kar mai-e-gulfām aatī hai
muqaddar kā sitāra-gar na ho raḳhshanda ai 'vāsif'
na himmat saath detī hai na hikmat kaam aatī hai
Top Urdushayar.com