Wasif Dehlvi

teri ulfat mein jitni meri zillat baDhti jati hai

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
tirī ulfat meñ jitnī merī zillat baḌhtī jaatī hai
qasam hai rabb-e-izzat kī ki izzat baḌhtī jaatī hai
ḳhudāyā ḳhair ho māmūr-hā-e-rub miskīñ kī
ki ab dil khol kar rone kī aadat baḌhtī jaatī hai
kisī ko yaad kar ke ek din ḳhalvat meñ royā thā
nahīñ mālūm kyuuñ jab se nadāmat baḌhtī jaatī hai
kahāñ tāqat sunāne kī kise fursat hai sunñe kī
ki mujmal hote hote bhī hikāyat baḌhtī jaatī hai
kahāñ maiñ aur kahāñ terī nigāh-e-lutf ai saaqī
ḳhudā jaane ye kyuuñ mujh par ināyat baḌhtī jaatī hai
ye merā shīsha-e-dil hai ḳhazaf-reza nahīñ hamdam
shikasta jis qadar hotā hai qīmat baḌhtī jaatī hai
idhar tahsīn-e-ārā.ish kī ḳhvāhish husn-e-ḳhud-bīñ ko
yahāñ jazbāt-e-pinhāñ kī hifāzat baḌhtī jaatī hai
ġhazab kā jazb hai 'vāsif' nigāh-e-mast meñ us kī
manāzil qat.a hote haiñ azīmat baḌhtī jaatī hai
Top Urdushayar.com