Wasif Dehlvi

harim-e-naz ko hum ghair ki mahfil nahin kahte

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
harīm-e-nāz ko ham ġhair kī mahfil nahīñ kahte
raqīboñ par magar vo kaun thā maa.il nahīñ kahte
jo rañg-e-ishq se fāriġh ho us ko dil nahīñ kahte
jo maujoñ se na Takrā.e use sāhil nahīñ kahte
ishāra sham.a kā samjhā na parvāna to kyā samjhā
manār-e-rāh ko ahl-e-nazar manzil nahīñ kahte
ba-rañg-e-rishta-e-tasbīh dil se raah hai dil ko
bhaTak jaa.e jo is jaade se us ko dil nahīñ kahte
zuleḳhā ke vaqār-e-ishq ko sahrā se kyā nisbat
jo ḳhud khīñch kar na aa jaa.e use manzil nahīñ kahte
marīz-e-ġham kī ġhaflat bhī kamāl-e-hoshiyārī hai
jo gum ho jaa.e jalvoñ meñ use ġhāfil nahīñ kahte
bharam us kā hī ai mansūr tū ne rakh liyā hotā
kisī kā raaz ai nādāñ sar-e-mahfil nahīñ kahte
Top Urdushayar.com