zarra harīf-e-mehr daraḳhshāñ hai aaj kal
qatre ke dil meñ shorish-e-tūfāñ hai aaj kal
sad-jalva be-hijāb ḳhirāmāñ hai aaj kal
sahmā huā sā gumbad gardāñ hai aaj kal
aañsū meñ aks-e-naqsha-e-daurāñ hai aaj kal
simTā huā sā ālam-e-imkāñ hai aaj kal
barham mizāj-e-fitarat-e-insāñ hai aaj kal
kis maḳhmase meñ ġhairat-e-yazdāñ hai aaj kal
qismat kī tīrgī kī kahānī na pūchhiye
sub.h-e-vatan bhī shām-e-ġharībāñ hai aaj kal
shirāza-e-ummīd shikasta hai in dinoñ
jam.īyat-e-ḳhayāl pareshāñ hai aaj kal
hai ik nigāh-e-mehr kī 'vāsif' ko aarzū
'vāsif' kā dil shikasta o vīrāñ hai aaj kal