Wasif Dehlvi

ham-safar tham to sahi dil ko sambhaalun to chalun

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
ham-safar tham to sahī dil ko sambhālūñ to chalūñ
manzil-e-dost pe do ashk bahā luuñ to chalūñ
har qadam par haiñ mire dil ko hazāroñ uljhāo
dāman-e-sabr ko kāñToñ se chhuḌā luuñ to chalūñ
mujh sā kaun aa.egā tajdīd-e-makārim ke liye
dasht-e-imkāñ kī zarā ḳhaak uḌā luuñ to chalūñ
bas ġhanīmat hai ye shīrāza-e-lamhāt-e-bahār
dhuum se jashn-e-ḳharābāt manā luuñ to chalūñ
paañv zaḳhmī hue aur duur hai manzil 'vāsif'
ḳhūn-e-aslāf kī azmat ko jagā luuñ to chalūñ
Top Urdushayar.com