Wasif Dehlvi

wo jis ki justuju-e-did mein pathra gain aankhen

Wasif Dehlvi

Delhi, India

1910
vo jis kī justujū-e-dīd meñ pathrā ga.iiñ āñkheñ
nazar ke sāmne ik din sar-e-mahfil bhī aa.egā
ye kyā shikva ki koī chāhne vaalā nahīñ miltā
karam par tum jo ho maa.il koī saa.il bhī aa.egā
ye tūfāñ-ḳhez maujeñ ye thapeḌe baad o bārāñ ke
safīne ko yūñhī kahte raho sāhil bhī aa.egā
na ho māyūs hamdam paañv meñ laġhzish na aa jaa.e
nazar kuchh duur chal kar jāda-e-manzil bhī aa.egā
mohabbat apne dīvānoñ ko vīrāñ rakh nahīñ saktī
kisī kī justujū meñ ek din mahmil bhī aa.egā
ye mahfil aaj nā-ahloñ se jo māmūr hai 'vāsif'
usī mahfil meñ koī jauhar-e-qābil bhī aa.egā
Top Urdushayar.com