Mirza Ali Lutf

kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

Mirza Ali Lutf

kis ko bahlāte ho shīshe kā gulū TuuT gayā
ḳhum mire muñh se lagā de jo subū TuuT gayā
kiijo us zulf ko mashshāt samajh kar shāna
laakh dil TuuTe agar ek vo mū TuuT gayā
kuchh ḳhabar hai tujhe kahte haiñ tire zaḳhmī kā
aaj phir chaak kā siine ke rafū TuuT gayā
falak us dil-shikanī kā to mazā dekhegā
koī dil gar kabhī ai arbada-jū TuuT gayā
thī murīdoñ ke liye qalb ke sadme kī dalīl
shaiḳh kā raqs meñ sam par jo vuzū TuuT gayā
dhyān us shīshe kā rakhnā ki na hogā paivand
dil mirī jaan agar yak sar-e-mū TuuT gayā
us ḳhud-ārā ke rahā haath meñ nit ā.īna
ġham se ā.īna-dil haa.e na tū TuuT gayā
mohtasib ne to ḳharābāt meñ kī ḳhūñ-rezī
par sar-e-riñd pe shab mai kā kadū TuuT gayā
dekhnā tār-e-mohabbat ki hai mushkil phir sāñTh
rishta-e-dostī ai 'lutf' kabhū TuuT gayā
Top Urdushayar.com