vo safā.ī kabhī jo ham se mulāqāt meñ thī
saaf kul sāḳhtagī us kī har ik baat meñ thī
jo bhalī aa ke kahī sehr hai samjhā na use
kal burī jo kahī dāḳhil vo karāmāt meñ thī
hai dil-e-ġhair ko us nāvak-e-mizhgāñ se ab uns
jo ki nit apne jigar-doziyoñ ke ghaat meñ thī
sunte haiñ ġhair se vo baat ba-āvāz-e-buland
kyā qayāmat hai ki jo ham se ishārāt meñ thī
kyā ġhazab hai vahī ā.īna-pan ab laakh se hai
jo safā.ī kabhī ham se kisī auqāt meñ thī
koī hājat nahīñ ab ġhair kī jo ho na ravā
ye to aage na mire qibla-e-hājāt meñ thī
itnā jūyā-e-mulāqāt na hotā thā 'lutf'
shakl nibhne kī jo kuchh thī so musāvāt meñ thī