jis din se ham junūñ ke haiñ dāmāñ lage hue
dāman kī jā yahāñ haiñ garebāñ lage hue
allāh re qaid-ḳhāna-e-hastī ki dam ke saath
har ik qadam pe lākhoñ haiñ zindāñ lage hue
royā maiñ dekh marqad-e-majnūñ ko dhaaḌ maar
the jā-e-gul daraḳht-e-muġhīlāñ lage hue
baare chhuTe asīr-e-balā us galī meñ aaj
haiñ tūd-hā-e-ganj-e-shahīdāñ lage hue
yārān-e-pesh-rau zarā Thahro ki jyuuñ jaras
ham pīchhe pīchhe aate haiñ nālāñ lage hue
rakh soch kar qadam mirī vaadī meñ gard-e-bād
paañv se apne haiñ ye bayābāñ lage hue
koī to mere nāseh-e-dānā se ye kaho
dil chhūTte haiñ bātoñ meñ nādāñ lage hue
kyā din the vo bhī 'lutf' ki rahte the misl-e-zulf
kānoñ se us ke ham se pareshāñ lage hue