tere aage yār-e-nau yār-e-kuhan donoñ haiñ ek
zāġh-e-zisht aur tūtī-e-shakkar-shikan donoñ haiñ ek
maiñ siyah-baḳht aur raqīb-e-rū-siyāh ham-rañg haiñ
qiir tere paas aur mushk-e-ḳhutan donoñ haiñ ek
naġhma-kash kyā dāstāñ apnī sunā.e vaañ jahāñ
sūrat-e-bulbul aur fariyād-e-zaġhan donoñ haiñ ek
ho raqīb-e-murda-shau par ho na kyuuñ raushan-bayāñ
yaañ charāġh-e-gor-o-sham-e-anjuman donoñ haiñ ek
'lutf' kī āzād-vaz.ī se mazā kyā ḳhaak uThā.eñ
yaañ zaqūm-e-dozaḳh o sarv-e-chaman donoñ haiñ ek