Mirza Ali Lutf

dekhna jin suraton ka shakl thi aaram ki

Mirza Ali Lutf

dekhnā jin sūratoñ kā shakl thī ārām kī
un se haiñ masdūd rāheñ nāma-o-paiġhām kī
ruḳhsat ai ahl-e-vatan ab ham haiñ aur āvārgī
haq rakhe buniyād qaa.em gardish-e-ayyām kī
yaad ne un tañg kūchoñ kī fazā sahrā kī dekh
har qadam par jaan maarī hai dil-e-nākām kī
gardish-e-chashm-e-butāñ ki bas-ki sāġhar-nosh hai
gardish-e-gardūñ ko ham kahte the gardish jaam kī
jab se khīñchā 'lutf' rañj-e-furqat-e-yār-o-dayār
ab huī ma.alūm mehnat gardish-e-ayyām kī
Top Urdushayar.com