tum ho bazm-e-aish hai vaañ aur sohbat-dāriyāñ
ham haiñ kunj-e-ġham hai yaañ aur jaan se bezāriyāñ
tum ko sair-e-bāġh-o-gul-gasht-e-chaman kā vaañ hai shauq
yaañ badan par haiñ hujūm-e-dāġh se gul-kāriyāñ
dhyān hai ārā.ish-e-zulf-e-pareshāñ kā tumheñ
yaad haiñ hāl-e-pareshāñ kī mirī kuchh ḳhvāriyāñ
tum safā-e-sā.id-o-bāzū dikhāte ho vahāñ
ham pe yaañ mū-e-badan karte haiñ nashtar-dāriyāñ
tum ne dikhlā.ī vahāñ piiTh aur choTī kī phaban
yaañ mirī chhātī pe haiñ kaale ne lahreñ māriyāñ
nek-o-bad donoñ se yaañ ham ne to āñkheñ muuñd liiñ
tum vahāñ chitvan kī dikhlāte ho jādū-kāriyāñ
yaañ ba-rañg-e-paikar-e-tasvīr ham ḳhāmosh haiñ
guftugū kī tum dikhāte ho vahāñ tarrāriyāñ
qahqahe tum mārte ho vaañ ba-āvāz-e-buland
dushmanoñ se yaañ chhupā kar ham haiñ karte zāriyāñ
har marīz-e-ġham kī jāñ-baḳhshī kā hai vaañ tum ko dhyān
khiñch ga.iiñ yaañ tūl-e-shiddat se mirī bīmāriyāñ
iztirāb-e-dil se be-parda huā yaañ rāz-e-ishq
sūjhtī haiñ vaañ tumheñ har baat meñ tahdāriyāñ
kyā kisī se baat kiije bhūlte ik dam nahīñ
un bhalāoñ se vo bātoñ meñ tirī ayyāriyāñ
chhīn kar bātoñ meñ dil ko 'lutf' se vo but bane
yaad rakhnā ġhair kī karnā vahāñ dil-dāriyāñ