na itnā kiije talabgār kaun aap kā hai
ye ġhair hai to yahāñ yaar kaun aap kā hai
na naaz kījiye vārasta-ḳhātiroñ ke saath
kidhar haiñ aap ḳharīdār kaun aap kā hai
masīhā apnā hai ik aur hī lab-e-jāñ-baḳhsh
ḳhudā ke fazl se bīmār kaun aap kā hai
ham apnī be-gunahī ko gunāh kahte the
bigaḌ ga.e ye gunāhgār kaun aap kā hai
tasavvur aur hī badmast kā hai 'lutf' ko ab
na aap bahkiye sarshār kaun aap kā hai