uf ye dil hādsoñ se ubhartā nahīñ
kyuuñ ye kambaḳht muqaddar sañvartā nahīñ
ek ham haiñ ki ham par ghaḌoñ paḌ gayā
ek vo haiñ ki un par Thahartā nahīñ
vaañ to fitrat meñ shāmil hai aur ham pe yaañ
ġhairiyat kā gumāñ tak guzartā nahīñ
thā muqaddas vo mānind-e-jannat kabhī
kū-e-jānāñ se ab maiñ guzartā nahīñ
kis kashākash meñ haiñ zindagī-o-qazā
saañs chaltī nahīñ dam nikaltā nahīñ