maiñ muddat se tirī aamad kā yuuñ aalam sajā.e huuñ
ajab hai be-ḳhudī dahlīz pe nazreñ jamā.e huuñ
huī tārīkiyāñ ruḳhsat munavvar ziist hai merī
tumhārī yaad ke jugnū maiñ palkoñ par sajā.e huuñ
phirāyā dar-ba-dar be-kal jahāñ meñ ḳhvāb-o-ḳhvāhish ne
musalsal hai sukūñ armān-o-hasrat ko miTā.e huuñ
mahaktī kaifiyat se hai mo.attar zindagī merī
tumhārī ruuh kī ḳhushbū meñ sāñsoñ meñ basā.e huuñ
ghane ḳhud-ġharzī-o-matalab-parastī ke añdheroñ meñ
vasī.a imdād aur ḳhidmāt kī sham.eñ jalā.e huuñ