jumbish-e-mehr hai har lafz tirī bātoñ kā
rañg uḌtā nahīñ āñkhoñ se mulāqātoñ kā
dekhne aa.e haiñ jañgal meñ tamāsha sab log
in añdheroñ meñ bhaTaktī huī barsātoñ kā
ek ik kar ke Tapaktī haiñ ḳhushī kī būñdeñ
kis liye phuuT ke rotā hai dhuāñ rātoñ kā
dekhiye saare charāġhoñ kī laveñ Duub ga.iiñ
vaqt ab aa hī gayā sar pe munājātoñ kā
dhuul har-vaqt uḌāte haiñ ufuq ke aage
jurm sābit hai havāoñ ke khule hāthoñ kā