apne hī ghar ke sāmne huuñ but banā huā
parde haTe hue haiñ darīcha khulā huā
yuuñ hī idhar udhar kī sunāte raho mujhe
mausam bahut udaas hai dil hai dukhā huā
āvāz de ke pūchh lo kyā ho gayā use
vo shaḳhs jā rahā hai bahut sochtā huā
kyuuñ dekhtā hai ajnabī nazroñ se vo mujhe
maiñ baiThe baiThe jaise koī dūsrā huā
harf-e-duā hai paas na lab par shikāyateñ
jo kuchh huā yahāñ pe vo yārab burā huā