bahut udaas thā us din magar huā kyā thā
har ek baat bhalī thī to phir burā kyā thā
har ek lafz pe lāzim nahīñ ki ġhaur karūñ
zarā sī baat thī vaise bhī sochnā kyā thā
mujhe to yaad nahīñ hai vahāñ kī sab bāteñ
kisī kisī pe nazar kī thī dekhnā kyā thā
galī bhī ek thī apne makāñ bhī the nazdīk
isī ḳhayāl se aayā thā pūchhnā kyā thā
maiñ jis kī zad meñ rahā āḳhirī tasallī tak
ḳhuda-e-bartar-o-ālā vo silsila kyā thā