vo ehtiyāt kā aalam pas-e-savāl koī
bachā hai raat ke hamle se baal baal koī
dikhā.ī detī hai pahle to raushnī ghar kī
nafī meñ sar ko hilātā hai phir ḳhayāl koī
dhaḌak rahā hai duāoñ kī raunaqeñ le kar
mire vajūd-e-gurezāñ meñ lā-zavāl koī
mileñge ḳhvāb bhī dīdār karne vāloñ meñ
paḌā hai peḌ kī chhāñv meñ pā.emāl koī