ghar kī tasalliyoñ meñ javāz-e-hunar to hai
in jañgaloñ meñ raat kā jhūTā safar to hai
jis ke liye havāoñ se muñh poñchhtī hai niiñd
is jur.at-e-hisāb meñ ḳhvāboñ kā Dar to hai
khultī haiñ āsmāñ meñ samundar kī khiḌkiyāñ
be-dīn rāstoñ pe kahīñ apnā ghar to hai
raushan koī charāġh mazār-e-havā pe ho
palkoñ pe aaj raat ġhubār-e-sahar to hai