ye be-gharī ye samundar ye raushnī dil kī
akele baiTh ke sochā kiye haiñ mahfil kī
ghaḌī jo biit ga.ī us kā bhī shumār kiyā
nisāb-e-jāñ meñ tirī ḳhāmushī bhī shāmil kī
maiñ haq-parast huuñ lekin mujhe bhī hairat hai
shikast, vo bhī isī daur meñ ho bātil kii?
hamārā daur mukammal nahīñ huā lekin
talāsh-e-rāh na koī talab hai manzil kī
sujhā.ī de na sakā rāsta ḳhayāloñ kā
dikhā.ī de na sakī raushnī muqābil kī