taaza tasalliyoñ se purāne savāl kar
shā.ista-e-azāb zarā dekh bhaal kar
uḌtī hai āsmān meñ rañgoñ kī dhuul kyuuñ
dekheñge ham havā ko havā meñ uchhāl kar
dil par ajiib gard hai āñkhoñ meñ hai ġhubār
do-chār kaam aaj to fursat nikāl kar
aapas meñ laḌ paḌe haiñ kisī mas.ale pe log
apnā bhī ek shaḳhs hai patthar sambhāl kar