burī ḳhabar hai use mushtahar nahīñ karte
kisī ke aib ko yuuñ be-hunar nahīñ karte
mire buzurg haiñ tūl-e-kalām ke shaidā
kahāniyoñ ko kabhī muḳhtasar nahīñ karte
mujhe bhī shauq hai duniyā ko fat.h karne kā
magar pahāḌ ko ujlat meñ sar nahīñ karte
na jaane kaun sā mausam ho phūl-pattoñ kā
isī liye to ye paude safar nahīñ karte
maiñ aaj apne hī aḳhlāq se pareshāñ huuñ
takallufāt mujhe mo'atabar nahīñ karte