nau-ba-nau ye jalva-zā.ī ye jamāl-e-rañg-rañg
mohlat-e-dil ek lahza dāman-e-nazzāra tañg
hai kahāñ vo aag jo raushan rakhe dil kā alaav
barq-jaulāñ mahz chashmak sho.ala-e-gul mahz rañg
ai junūñ tīr-e-malāmat kā koī unvāñ nikāl
kaisā chipkā hai badan par friqa-e-nāmūs-o-nañg
ab ye us kā azm tai kar le jo rāh-e-ārzū
har-qadam dām-e-tahayyur har-qadam dīvār-e-sañg
aaj dekhā sab ne qātil kī tahī-dastī kā haal
sail-e-ḳhūn-e-āshiqāñ meñ bah ga.e shamshīr-o-sañg