Hameed Naseem

sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya

Hameed Naseem

savāl dil shām-e-ġham ko aur udaas kar gayā

tire vajūd meñ jo ek maiñ thā vo kidhar gayā

tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-āgahī

tamām umr safar nigāh se guzar gayā

chale to hausla javāñ thā mauj-e-gul thī aarzū

jidhar bhī aañkh uTh ga.ī samāñ nikhar nikhar gayā

kabhī añdherī shab meñ ik muhīb dasht sāmne

kabhī mah-e-tamām saath saath tā-sahar gayā

har ek daur munfarid thā ab bhī dil pe naqsh hai

gayā to yuuñ lagā ki ek hissa mar gayā

na yaad chubhan koī na koī lau malāl

maiñ jaane kitnī duur yūñhī ḳhud se be-ḳhabar gayā

nigāh-e-dost dil-navāz bhī girah-kushā bhī thī

khulā jo dil pe zindagī bhed Thahar gayā

jahāñ vajūd meñ thā ''maiñ'' ab ek aur naam hai

ki merā bigḌā huā kaam us ke lutf se sañvar gayā

vo sail-e-nūr shab ibtidā se tā-sahar gayā

dil us ke bal pe apne bahr-e-ġham ke paar utar gayā

Top Urdushayar.com