mohabbat jaada hai manzil nahīñ hai
ye mushkil āḳhirī mushkil nahīñ hai
dil-e-rah-rav meñ haiñ kuchh aur ḳhatre
ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil nahīñ hai
ḳhirad bātil ḳhirad par naaz bātil
magar ye to junūñ bātil nahīñ hai
ye dil be-mehr bhī hai bevafā bhī
nahīñ ye dil to merā dil nahīñ hai
Darātā hai mujhe yuuñ ḳhanda-e-barq
mujhe andesha-e-hāsil nahīñ hai
maiñ sab kuchh jāntā huuñ apnā anjām
magar iz.hār ke qābil nahīñ hai
miyān-e-qa.ar-e-dariyā hai safīna
nahīñ ai nāḳhudā sāhil nahīñ hai
yahāñ mehr-o-vafā nādāniyāñ haiñ
ye duniyā ishq ke qābil nahīñ hai
ye hai marhūm ummīdoñ kā madfan
kabhī dil thā magar ab dil nahīñ hai