Hameed Naseem

subh chale to zauq-e-talab tha arsh-nishan KHurshid-shikar

Hameed Naseem

sub.h chale to zauq-e-talab thā arsh-nishāñ ḳhurshīd-shikār
manzil-e-shām aa.ī to ham haiñ aur shikastoñ ke ambār
dil kī nādānī to dekho kyā kyā armāñ rakhtā hai
jaise davām kā ā.īna ho lamhoñ kī girtī dīvār
ziist sahī ik tiira shabistāñ lekin yaaro shola-e-shauq
ik do nafas to aisā bhaḌkā tūr-misāl thā dil kā dayār
kal tak maiñ aur tū the bāham raqs-e-sabā aur ḳhanda-e-gul
aaj tire lab yās-guzīda merā harf-e-shauq figār
zamzama-o-āhañg kī duniyā kyā yaksar vīrān huī
mahfil mahfil hū kā samāñ hai chehra chehra sañg-e-mazār
yuuñ bhī aage raah kaThin hai aur athāh añdherā hai
ai maazī ke shahr-e-charāġhāñ yuuñ na mujhe pīchhe se pukār
sañg-o-salīb haiñ maidāñ maidāñ aur hujūm-e-jāñ-bāzāñ
kaisī dhuum se aayā ab ke marg-e-tamannā kā tyauhār
Top Urdushayar.com