patthar se mukālima hai jaarī
donoñ hī taraf hai hoshiyārī
vahshat se maiñ bhāgtā rahā huuñ
phir mujh pe junūñ huā hai taarī
darvesh ko rakh ke ḳhāk-e-pā meñ
kartā hai zamāna shahryārī
patthar se mujhe na choT pahuñchī
ik gul ne diyā hai zaḳhm kaarī
shahrī vatan-e-azīz kā huuñ
lekin hai shi.ār ashk-bārī
maz.hab hai mirā tarīq-e-hindī
derīna butoñ se apnī yaarī
paayā hai faroġh-e-secularism
talvār huī hai ab do dhārī
guzre hue din kā isti.āra
ye maulvī aur ye bhikārī