Jamal Owaisi

maine apni maut pe ek nauha likkha hai

Jamal Owaisi

1962
maiñ ne apnī maut pe ik nauha likkhā hai
tum ko sunātā huuñ dekho kaisā lagtā hai
jism ko kar Daalā hai ḳhvāhish kā harkāra
chehre par masnūī vaqār sajā rakkhā hai
suunī kar Daalī hai bastī ḳhvāb-nagar kī
kal tak jo dariyā bahtā thā ḳhushk huā hai
hoñToñ se zanjīr-e-ḳhamoshī bāñdh rakhī hai
tāq-e-umīd pe dil kā charāġh bujhā rakkhā hai
niiñd se bojhal palkoñ par andesha-e-miTTī
kashtī-e-jāñ ke Dūbne kā lamha aayā hai
Top Urdushayar.com