Jamal Owaisi

jab kabhi shor-e-jahan hota hai

Jamal Owaisi

1962
jab kabhī shor-e-jahāñ hotā hai
mere hone kā gumāñ hotā hai
jabr hai mujh pe nizām-e-fitrat
mujh pe har lamha girāñ hotā hai
subah hotī nahīñ pahle jaisī
shab-giraftār samāñ hotā hai
dhund meñ khote haiñ manzar saare
pech dar pech dhuāñ hotā hai
shaam tā-sub.h charāġhāñ kar ke
dasht meñ nauha-e-jāñ hotā hai
vaqt phailātā hai dāman apnā
aag kā dariyā ravāñ hotā hai
mujh ko āzād kar ai dānish-e-nau
dil giraftār-e-butāñ hotā hai
Top Urdushayar.com