maiñ apnī bebasī mahsūs kar ke ro rahā hūñgā
suno ai dosto ik din maiñ sab kuchh kho rahā hūñgā
ye duniyā kār-hā-e-ahmaqāna hī se chaltī hai
kisī mansab pe maiñ bhī baiTh kar kuchh ho rahā hūñgā
tire shikve se vaqt-e-naz.a mujh ko sharm aa.egī
ki apne dāġh-e-dil phir āñsuoñ se dho rahā hūñgā
tirī chashm-e-tahayyur dekh letī kis tarah mujh ko
jahāñ hasrat ke maare sab the maiñ bhī to rahā hūñgā
mirī nusrat pe qābiz ho rahī hai merī paspā.ī
thake-hāre kisī lamhe meñ maiñ bhī so rahā hūñgā