Jamal Owaisi

har lamha dil-doz KHamoshi chiKH rahi hai

Jamal Owaisi

1962
har lamha dil-doz ḳhamoshī chīḳh rahī hai
maiñ huuñ jahāñ tanhā.ī merī chīḳh rahī hai
ghar ke sab darvāze kyuuñ dīvār hue haiñ
ghar se bāhar duniyā saarī chīḳh rahī hai
ḳhālī āñkheñ sulag rahī haiñ ḳhushk haiñ aañsū
andar andar dil kī udāsī chīḳh rahī hai
tūfānoñ ne saare ḳheme toḌ diye haiñ
yuuñ lagtā hai saarī ḳhudā.ī chīḳh rahī hai
raat kī chīḳhoñ se ābād huā har ḳhitta
kab se naved-e-sub.h bechārī chīḳh rahī hai
kārobār na karnā logo dekho dil hai
ik muddat se ruuh hamārī chīḳh rahī hai
Top Urdushayar.com