pahle kī ba-nisbat hai mujhe kaam ziyāda
dil ko hai magar ḳhvāhish-e-ārām ziyāda
nākām rahī shā.erī jin pesh-ravoñ kī
dete haiñ azīzoñ ko vo paiġhām ziyāda
kam-kosh the kaj apnī kulah rakh nahīñ paa.e
bāġhī na bane aur hue badnām ziyāda
kuchh haare hue baiTh ke ab soch rahe haiñ
āġhāz kyā kam huā anjām ziyāda
duniyā se tavaqqo.a nahīñ kuchh dād-o-sitad kī
ḳhūbāñ ko sadā detī hai dushnām ziyāda