masjūd merā rāh-numā kyuuñ nahīñ huā
terā ḳhudā bhī merā ḳhudā kyuuñ nahīñ huā
mujh ko zamīr Toktā rahtā hai har ghaḌī
logoñ kā dil bhī shīsha-numā kyuuñ nahīñ huā
maiñ be-dimāġh dost banātā rahā sadā
mujh par asar ḳhushūnatoñ kā kyuuñ nahīñ huā
zāhir-parast log mire ās-pās haiñ
maiñ bhī unhīñ ke jaisā bhalā kyuuñ nahīñ huā
marte haiñ sab talāsh-e-hayāt-e-davām meñ
terā sahīfa āb-e-baqā kyuuñ nahīñ huā
bastī ke saare log jise pūjte rahe
mere liye vo fard ḳhudā kyuuñ nahīñ huā
phirtā rahā galī galī terī talāsh meñ
ma.alūm tere ghar kā patā kyuuñ nahīñ huā