Jamal Owaisi

jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad

Jamal Owaisi

1962
jaane kaise log the yaad aa.e kam jaane ke ba.ad
aib saare khul ga.e marhūm kahlāne ke ba.ad
chāñd kā haala mirī āñkhoñ kā jaalā ban gayā
kuchh nazar aayā na phir tere nazar aane ke ba.ad
ādamiyat ke sabhī paimāne ho jaate haiñ paash
bhuuk aisī jāgtī hai peT bhar jaane ke ba.ad
us ne ik ik lafz kā paisa kiyā mujh se vasūl
kal kī shab mīlād meñ taqrīr farmāne ke ba.ad
maiñ ne tā-hadd-e-nazar dekhā koī monis na thā
dopahar ke vaqt barqī-mauj lahrāne ke ba.ad
Top Urdushayar.com