tanhā.ī milī mujh ko zarūrat se ziyāda
paḌhtī haiñ kitābeñ mujhe vahshat se ziyāda
jo maañg rahe ho vo mire bas meñ nahīñ hai
darḳhvāst tumhārī hai zarūrat se ziyāda
mumkin hai mirī saañs ukhaḌ jaa.e kisī pal
ye rāsta hai merī masāfat se ziyāda
aa.e haiñ paḌosī mire ghar le ke shikāyat
bātoñ meñ vo talḳhī hai ki nafrat se ziyāda
ye atlas o kam-ḳhvāb dikhāte ho abas tum
shā.ir ko nahīñ chāhiye shohrat se ziyāda