jo merī aah se niklā dhuāñ hai merī miTTī kā
mire andar nihāñ ātish-fishāñ hai merī miTTī kā
diye haiñ taaq par raushan magar zau mere andar hai
jo kuchh kuchh tīrgī hai vo samāñ hai merī miTTī kā
mire jalvoñ kī pāmālī na dekhī jā.egī mujh se
hunar kuchh is tarah se rā.egāñ hai merī miTTī kā
zarūr us kī shabāhat merī sochoñ se alag hogī
tasavvur meñ jo dekhā hai gumāñ hai merī miTTī kā
samundar aur dariyā haiñ purāne āshnā mere
barastā hai jo paanī mehrbāñ hai merī miTTī kā
mire ash.ār meñ āfāq-o-anfus kī kahānī hai
mirā har lafz-e-shīrīñ tarjumāñ hai merī miTTī kā
'ovaisī' qalb-o-jāñ karte rahe sher-o-adab ko ham
agarche ye bhī jins-e-rā.egāñ hai merī miTTī kā