Jamal Owaisi

gurez-pa hai naya rasta kidhar jaen

Jamal Owaisi

1962
gurez-pā hai nayā rāsta kidhar jaa.eñ
chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaa.eñ
na mauj-e-tund hai kuchh aisī jis se kheleñ ham
chaḌhe hue haiñ jo dariyā kaho utar jaa.eñ
ajab qarīne ke majnūñ haiñ ham ki rahte haiñ chup
na ḳhāk-e-dasht uḌā.eñ na apne ghar jaa.eñ
jabīñ hai ḳhaak se aisī lagī ki uThtī nahīñ
junūn-e-sajda agar ho chukā to mar jaa.eñ
zamāna tujh se ye kahnā hai mar chuke ham log
ab apnī laash tire bāzuoñ meñ dhar jaa.eñ
hamīñ bache haiñ yahāñ āḳhiruz-zamāñ lekin
sabhoñ ko apnā ta.āruf deñ dar-ba-dar jaa.eñ
Top Urdushayar.com