añg añg jhalak uThtā hai añgoñ ke darpan ke beach
mānsarover umDe umDe haiñ bharpūr badan ke beach
chāñd añgḌā.ī par añgḌā.ī lete haiñ joban ke beach
maddham maddham diip jale haiñ so.e so.e nayan ke beach
mukhḌe ke ka.ī ruup dūdhiyā chāñdnī bhor sunahrī dhuup
raat kī kaliyāñ chuTkī chuTkī sī bāloñ ke ban ke beach
mathurā ke peḌoñ se kūlhe chikne chikne se gore
ruup nirt ke jaage jaage chhatiyoñ kī thirkan ke beach
jaise hīroñ kā mīnāra chamke ghor añdhere meñ
dīvālī ke diip jale haiñ cholī aur dāman ke beach
man meñ basā kar mūrat ik an-dekhī kāmanī rādhā kī
'ahmad' ham to kho ga.e brindāban kī kunj galiyan ke beach