Fazl Ahmad kariim Fazli

bahaar aai gul-afshani ke din hain

Fazl Ahmad kariim Fazli

Bahraich, Uttar pradesh, India

1906-1981
bahār aa.ī gul-afshānī ke din haiñ
hamārī tañg-dāmānī ke din haiñ
anādil kī ġhazal-ḳhvānī ke din haiñ
guloñ kī chāk-dāmānī ke din haiñ
jidhar dekho khile haiñ lāla-o-gul
ye ḳhūn-e-dil kī arzānī ke din haiñ
huā dāmān-e-gul dāmān-e-yūsuf
nazar kī pāk-dāmānī ke din haiñ
subuk-rau hai nasīm-e-rūh-parvar
magar phir bhī girāñ-jānī ke din haiñ
dil-e-pur-dard umDā aa rahā hai
ye bahr-e-ġham meñ tuġhyānī ke din haiñ
yahī din mā-hasal haiñ zindagī ke
yahī jo dil kī nādānī ke din haiñ
jamāl-e-zindagī kī ḳhair yārab
kamāl-e-aql-e-insānī ke din haiñ
ġhazal pākīza hai fazlī abhī tak
ye din har-chand uryānī ke din haiñ
Top Urdushayar.com