Fazl Ahmad kariim Fazli

tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain

Fazl Ahmad kariim Fazli

Bahraich, Uttar pradesh, India

1906-1981
tumhīñ ik nahīñ jāñ-setāñ aur bhī haiñ
bahut hādsāt-e-jahāñ aur bhī haiñ
hasīñ aur bhī haiñ javāñ aur bhī haiñ
ġhazālān-e-abrū-kamāñ aur bhī haiñ
sabhī ko mohabbat meñ hote haiñ sadme
abhī kyā abhī imtihāñ aur bhī haiñ
chalo dhuum se jashn-e-mātam manā.eñ
hameñ ik nahīñ nauha-ḳhvāñ aur bhī haiñ
nahīñ ḳhatm kuchh āsmāñ par ḳhudā.ī
mire haal par mehrbāñ aur bhī haiñ
naqāb us ne ruḳh se uThā.ī to lekin
hijābāt kuchh darmiyāñ aur bhī haiñ
fareb-e-karam ik to un kā hai is par
sitam merī ḳhush-fahmiyāñ aur bhī haiñ
vafā un se apnī jatāne ga.e the
magar ab to vo bad-gumāñ aur bhī haiñ
nahīñ sabr hī kī kamī tujh meñ 'fazlī'
mirī jaan kuchh ḳhāmiyāñ aur bhī haiñ
Top Urdushayar.com