ab vo mahkī huī sī raat nahīñ
baat kyā hai ki ab vo baat nahīñ
phir vahī jāgnā hai din kī tarah
raat hai aur jaise raat nahīñ
baat apnī tumheñ na yaad rahī
ḳhair jaane do koī baat nahīñ
kuchh nahīñ hai to yaad hai un kī
un se tark-e-ta.alluqāt nahīñ
phir bhī dil ko baḌī umīdeñ haiñ
go ba-zāhir tavaqquāt nahīñ
ishq hotā hai ḳhud-ba-ḳhud paidā
ishq ke kuchh lavāzimāt nahīñ
aise 'fazlī' ke sher kam hoñge
jin meñ kuchh dil kī vārdāt nahīñ