Fazl Ahmad kariim Fazli

zindagi saz-e-shikasta ki fughan hi to nahin

Fazl Ahmad kariim Fazli

Bahraich, Uttar pradesh, India

1906-1981
zindagī sāz-e-shikasta kī fuġhāñ hī to nahīñ
zamzama-sanj bhī hai marsiyāñ-ḳhvāñ hī to nahīñ
ishq se baaz ham aate jo guzartā vo garāñ
lutf to ye hai tabī.at pe garāñ hī to nahīñ
dil burā kījiye kis tarah bhalā phir us se
rāhat-e-jāñ bhī to hai āfat-e-jāñ hī to nahīñ
aisī yādeñ bhī haiñ sau zindagiyāñ jin pe nisār
hāsil-e-zīst ġham-e-umr-e-ravāñ hī to nahīñ
ham samajhte haiñ jo apne ko baḌā ahl-e-nazar
ye bhī faiz-e-nazar-e-ḳhush-nazrāñ hī to nahīñ
qāfile meñ haiñ bahut rāhravāñ bhī to sharīk
rahbarāñ hī to nahīñ rāh-zanāñ hī to nahīñ
hai bahut naaz tujhe zabt-e-fuġhāñ par 'fazlī'
ye ḳhamoshī bhī kahīñ tarz-e-fuġhāñ hī to nahīñ
Top Urdushayar.com