ġhamoñ se khelte rahnā koī hañsī bhī nahīñ
na ho ye khel to phir lutf-e-zindagī bhī nahīñ
nahīñ ki dil meñ tamannā mire koī bhī nahīñ
magar ye baat kuchh aisī kī guftanī bhī nahīñ
abhī maiñ kyā uThūñ niyyat abhī bharī bhī nahīñ
sitam ye aur ki mai kī abhī kamī bhī nahīñ
adā.eñ un kī sunātī haiñ mujh ko merī ġhazal
ġhazal bhī vo ki jo maiñ ne abhī kahī bhī nahīñ
huzūr-e-dost mire gū-magū ke aalam ne
kahā bhī un se jo kahnā thā baat kī bhī nahīñ
hamāre un ke ta.alluq kā ab ye aalam hai
ki dostī kā hai kyā zikr dushmanī bhī nahīñ
kahā jo tark-e-mohabbat ko shaiḳh ne khullā
farishta to nahīñ lekin ye aadmī bhī nahīñ