Fazl Ahmad kariim Fazli

kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai

Fazl Ahmad kariim Fazli

Bahraich, Uttar pradesh, India

1906-1981
kuchh to mujhe mahbūb tirā ġham bhī bahut hai
kuchh terī tavajjoh kī nazar kam bhī bahut hai
ashkoñ se bhī khultā hai vo dil jo hai girafta
kaliyoñ ke liye qatra-e-shabnam bhī bahut hai
ham ḳhud hī nahīñ chāhte sayyād se bachnā
sāzish nigah-o-dil kī munazzam bhī bahut hai
hai rishta-e-duzdīda-nigāhī bhī ajab shai
qaa.em ye havā par bhī hai mohkam bhī bahut hai
Dhaa.e dil-e-nāzuk pe bahut us ne sitam bhī
phir lutf ye hai mujh pe vo barham bhī bahut hai
ye turfa-tamāsha hai kiyā qatl bhī mujh ko
aur phir mire marne kā unheñ ġham bhī bahut hai
paḌte haiñ sitamgar ke zarā vaar bhī ochhe
aur 'fazlī'-e-bismil meñ zarā dam bhī bahut hai
Top Urdushayar.com